Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) Mai tera din bachaunga, Ay mere nana, Mai apna khoon bahawunga, Ay mere nana, Husain jaata hai marne, Salaam ma ke mazaar Meri sharike safar ban-ke, Saath chal amaa, Safar pe jaata hu kapde, Mere badal amaaLibaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar Dua karoo koyi sar be-rida na ho amaa, Namaze zoh-ke shahadat, Kazaa na ho amaa, Na aye mere chaman pe, Sitam ki gardo gubar Diye jalane ko nana, Tumhare roze par, Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar, Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber, Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar, Lute na door watan se, Hamare dil ka karar Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa, Hamare khoon ki pyaasi hai, Foje Zulmo jafaa Safar me koi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa Ha-ek phool to aisa hai, Jo khila bi nahi, Na paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahi, Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar Meri sakina kaha aur, Rasan ke bandh kaha, Zamin garm pe chalna, Use pasand kaha, Kadam wo phool se nazook, Wo raaste purkhar Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) ***********************
muj pe kun bad karty hoo pani
HAAY JAB MADINE SEY CHALA Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3 Apne hamraah suwe karbobala (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2 Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa. Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai. Jab koi paas na honga baba Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai meraChacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2 ***********************
HUSSAIN ZINDABAAD (2) Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad. Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN. Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain. Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2) KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO? Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko. Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2) KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI. Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki. Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2) PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN. Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2) JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI. Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai. Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA. Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya. Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2) ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY. Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai. Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2) YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI. Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai. Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2) WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE. Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe. Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2) Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2) Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5) ***********************
TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO AY SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO Darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho Tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho Tum bazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho Tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho Ay gham ke lamdaro kis baath may tum kam hoRasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho Mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho Insaan ki azmath ke har baath may shaamil ho Zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho Matam ke talabgaro kis baath may tum kam ho Nisbath hai payambar se nisbath tumhay Hyder se Is nisbath-e-maula se tum door rahe shar se Tum aankh milate ho har waqt sithamgar se Jo dars mila tumko salman-se-buzar se Tum roop wohi dharo kis baath may tum kam ho Abbas ke parcham se seekhi hai wafadari Aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari Kismath se mili tumko mazloom ki ghamkhari Zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari Mazloom ke gham khaaro kis baath may tum kam ho Zainab ki rida tumse karthi hai sawaal aisa Kis gham may bahaathe ho aankon se lahoo apna Kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda Laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho Kya dars liya tumne Akbar ki jawani se Kya seekha batao to karbal ki kahani se Math behko qateebo ke alfaaz-o-mawani se Mehfooz haqeeqath ko rakhna hai kahani se Ay ilm ke mayyaro kis baath may tum kam ho Masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi Tum Hur ki tarha maango ek raat may azaadi Darbar may zaalim ke kyun bante ho faryadi Sajjad ne jis tarha deeware sitham dhaa-di ghaadi Deeware sitham ghaado kis baath may tum kam hoTum nahje balagha ki tafseer may dhal jao Hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao Mazloom ko math chedo zaalim se na ghabrao Haq baath jo kehna hai suli pe bhi douh-raoo Allah ke naqqaro kis baath may tum kam ho Shabbir ke matam may imaan ki hararath hai Ye ayne ibadath hai ye ayne shariyyath hai Shabbir ke paykar may islam ki nusrath hai Khanjar ke talay dekho qaim jo ibadath hai Maula ke tarafdaro kis baath may tum kam ho Socho tho zara manzar tum shaam-e-ghareeban ka Ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka Pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka Kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka Samjho to samajhdaro kis baath may tum kam ho Pyasa tha labe dariya wo lakhte dil-e-Zehra Aankhon se barasta tha ghurbath may lahoo jiska Wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha Haathon pe tadaptha tha pani ka na tha khatra Us waqt ke jaabaro kis baath may tum kam ho Halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti Shabbir ki nusrath ki dil may jo tamanna thi Kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki Awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi Jalte huwe angaaro kis baath may tum kam ho Tum raahay sadaqath se imaan ki hararath se Kirdaare imamath se afkaare risaalath se Tum shaukhe shahadath se maula ki inayath se Islam ki qidmath se mayyaare mohabbath se Tareek nayi likhdo kis baath may tum kam hoImaan hai azadaari hai deen ki bedaari Jarraari-o-karraari hai azme wafadari Himmath na agar haari zinda rahi khuddari Miljayegi sardari Hyder ki tarafdari Karke to zara dekho kis baath may tum kam ho REHAAN PE SARWAR pe maula ki inayath hai Nowhe ki azaano may matam ki ekhamath hai Sach poocho ko dono ki har saans ibadath hai Ay ehle aza tumko matham ki jo daawath hai Mu mod ke math jaao kis baat may tum kam ho ***********************
Unhe kahen Harbat nam e Amal me likhi jati hy Pyar se samjhaenn ): ..!! No wet hone ky bad aap Sharamgaah pe pani lagaenn and agr shalwar pe bhi wetness hy to wahan bhii pani chirken phr aap hogi and namaz bhi parhsakti hennn ..!!
Mjy ye pochna tha k rozy ki halat main mery fiance jab sexual talk karty hain to main kai bar wet ho jati hn,aisy main kya roza toot jata hai?r agar nahi to kya namaz parhny k liy ghusal wajib ho jata hai?plz reply me soon.
Ik or sawal he mera sis plz bta Dena k jb mere husband or mai intersourse krty he tb mere husband 1 min mai hi anger farig ho jaty he or mera pani b nhi nikltA means k mau farig nhi hoti jb mere husband sex krty he mere sath plz Sara kuchh gor se read kre or muje btae ye sab kiyu hota he mhje baby chahiye kiyu k mere husband ne baher chle Jana he plz help me plzzz
A..o.A.family mien aysa koi rishta nai.I did masters in English. R walida chahti ha educated larka ho ya uska kaam kaaj Acha ho.r is silsalay mien kafi logu ko bola hwa ha lakin abi tk kuch nai hwa.kya ap istahara b karty ho? Rply me soon
Asalam u alaikumG me ne ye pushna tha k kya garam cheezin khanay se mensis apny waqat se pahly a sakry hainKun k me chaye din me 2 bar piti hun or me ny last 3 dino me neem garam pani me thora sa honey shamil kar k piya meri date wasy 30 banti thi par mujy 9 din pahly hi a gye. Or me married hun. Ab pata ni wo kya hy kun k jo blood aya hy wo date k dino wala ni hy.
Assalam-o-alaikum meri shadi ko 5 sal ho gy hai lakin aj tak ma apny ap sy boht sharminda hu k ma ny apny husband sy joth bola ha wo ya k shadi py mery menses huy thy jis ki waja sy hum humbestri nai kar saky lakin shadi k 6 din bad jab hum ny humbestri ki to mojy dard to boht hua lakin bleding nai hui kahty hai k jab pahli dafa humbestri kary to bleding hoti ha warna wo larki pakiza nai hoti jis ki bleding na ho to ma ny apny husband sy ya joth bola ha k mojy bleding hui thi lakin ap ko nai pata jab k meri nai hui is waja sy ma boht parshan rahti hu jab k mera Allah janta ha k ma pak thi par is waja sy ma boht parshan hu k ma ny joth ku bola our ma ny joth b sirf is liy bola k mera husband muj py boht shak karta ha ap batay k ma is parshani sy kasy bahir aoor abi b jab meri date ati hy to mery husband mojy baty karty hai k pahly din sy asy ai ho to is ma koi nai bat to nai to asy ma mojy boht gosa ata ha k is ma mera to koi kasor nai ya to allah ki tarf sy hota ha ap batay k asy ma ma kia karo 2ff7e9595c
Comments